Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Surah Fatiha Ka Powerful Qurani Wazifa For Every Problem solving


Surah Fatiha sy Namumkin aur mushkil tareen masail ka Hal
.
سورۃ فاتحہ کا پاورفل اور کامیاب قرآنی عمل 

wazifa point –apne chahanay walon ke liye aik behtarin amal ly kar aaya hai. is mein aapko sirf aik surah Fatiha sy apne tamam masail ka hal mil sakta hai. jo log yeh chahtay hain ke unki tamam mushkilaat khatam ho jaien aur woh apni zindagi mein kamyaab ho jaien to woh is wazifa ko karen inshaAllah aapka masla hal ho jaye ga.

Is mubarak surah Fatiha ko umm ul quran bhi kaha jata hai. darasal yeh surah aik dua hai jo Allah pak ne har insaan ko sikhayi hai jo is ki kitaab quran pak ka parhna shuru kar raha ho. quran pak ki ibtida mein is ko rakhnay ka matlab yeh hai ke agar ap waqai is kitaab se faida uthana chahtay ho to pehlay Allah se yeh dua karo. insaan ftrtan isi cheez ki dua karta hai jis ki talabb aur khwahish is ke dil mein hoti hai aur isi soorat mein karta hai jabkay usay yeh ehsas ho ke is ki matloob cheez is hasti ke ikhtiyar mein hai jis se woh dua kar raha hai.
Pas quran ki ibtida mein is dua ki taleem day kar goya insaan ko yeh Talqeen ki gayi hai ke woh is kitaab ko raah e raast ki justojoo ke liye parhay, talb haq ki zehniat ly kar parhay aur yeh jaan le ke ilm ka sarchashma Allah pak ki zaat hai, is liye isi se rahnumai ki darkhwast karkay parhnay ka aaghaz kere. is mazmoon ko samajhney ke baad yeh baat khud wazeh hojati hai ke quran aur surah Fatiha ke darmiyan haqeeqi talluq kitaab aur is ke muqadmay ka sa nahi balkay dua aur jawab dua ka sa hai. surah Fatiha aik dua hai bande ki janib se aur quran is ka jawab hai kkhuda ki janib se.
Jab bandah dua karta hai ke ae parvar-digaar! meri rahnumai kar. jawab mein parvar-digaar poora quran is ke samnay rakh deta hai ke yeh hai woh hadaayat o rahnumai jis ki darkhwast tunay se mujh se ki thi 

ab ham apko surah fatiha ka amal bataty h. 
 Amal:
shab jummay ko yeh amal shuru karna hai. pehli shab surah Fatiha 70 dafaa padni hai. dosray din 60 dafaa, aglay din 50 dafaa, phir 40, phir 30, phir 20, aakhri din budh ka hoga jis mein surah Fatiha 10 dafaa padni hai. phir aglay din se wohi 70 dafaa se shuru karen. amal karte waqt maqsad ka tasawwur ho . 

Sharait: Ghar ka aik kona muntakhib kar len. waqt aur jagah aik ho. mard khulay aasman ke neechay nangay sir ho kar parheen. agar koi majboori hai to koi baat nahi. amal par mukammal yaqeen aur aetmaad ho. agar masla ziyada mushkil hai to din mein do dafaa yani subah aur shaam bhi kar satke hain .Meri dua h k Jo bhi is amal ko karay Allah pak usko faida ata farmye aur kamyabi ata kary .Ameen

Hazrat Muhtram Ghulam Moin Haider sahib ki taraf se amal ki sab ko ijazat hai .

Post a Comment

0 Comments